Wednesday, August 31, 2011

Hindi Poem Composed by me for sun microsystems farewell party in chancery pavilion hotel

ye naa samajhna ki sunmicrosystems doobi hai
ye bas punarjanm hai iska, joki duniya ki sabse badi khoobi hai

koi suraj dooba hai agar to ek naye suraj ko ugna hai
uss nae suraj ki shatki pahle ka duguna hai

nadi akele bahe agar, rahen sooni ho jati hai
do nadiyon ke milne se, taakat duguni ho jaati hai

wo bewkoof hain, jinhone aisa kuch socha hai
kisi ne kisi ko kisi ke hathon becha hai

ye kharid bikri ki nahi, ye to milan ki bela hai
hardware software ek hi ghar me aa ge, ab koi nahi akela hai

ye koi ant nahi ,balki ek nai shuruaat hai
2 diggajon ke beech ki, ye nai mulakaat hai

ye jo hone wala hai wo milan hai ,judai nahi hai
Sun to apni hi thi ,par oracle bhi ab paraai nahi hai

bahut log aise bhi hain, jinke dil me sun aaj bhi hai
sewa jisko kia hamesha, uske jaane se naraaz bhi hai

Bicharne se koi door nahi hota, tum milan judai ke mahatv ko dhundho
harek ant ek nai shuruaat hai, tum bas uss shuruaat me chupe hue kimati tatv ko dhundho

par humne to har baar ek hi baat kahi hai
Naam badla hai kewal,baki ab bhi wahi hai

kho jaao aaj tum , beeti hui yaadon me
unpe khubsurati se likhi gai baaton me
uss jeewan ko aaj tum fir se jee lo
khushi se naachlo gaa lo kha lo pee lo
koi bhi dard ho to use sapnon me see lo

ab imb, hp ya koi bhi ho, sab peeche chhut jaaenge
hamari chakachoundh ke aage, ek ek kar lut jaaenge

So finally lets say, only we are elite
because now hardware software complete

3 comments:

  1. ANS babu... tum to hamein vidrohi kism ke insaan lagte the... magar tum to awwal number ke chatukaar nikle :P

    ReplyDelete
  2. bhai..kisi ke marte waqt uska gungaan kar dena chahie...aisa bujurgon ne bhi kaha hai :)

    ReplyDelete
  3. par tumne yaha mrit se adhik to jeevit ke guno ka bakhaan kiya hai...

    ReplyDelete